Thursday, 6 September 2012

Yadain He Yadain

Yadain Insan ko bohat tarpati hain aur baaz okaat to yadain he Insan k jeenay ka sahara ban jaati hain. Yeh yadain he hain jo Insan ko hansaati hain, rulati hain par kabhe bhe tanha nahe chorhteen. Jab sab saharay khatam ho jatay hain tab bhe yadain he Insan ko sahara daite hain aur himat aur hosla barhati aur ghatati rehte hain. Yeh yadain he hain jo guzray huay lamhaat ko har wakat hamaray aas paas mojood rakhte hain. Wakat to guzar he jata par kabhe kabhe yeh apney saath un "Apnon" ko bhe ley jaata hai jin key baghair rehnay ka basnay ka tasawur bhe hamain tarpata hai magar wakat un ko bhe saath ley jata hai aur pher un key saath guzra hua wakat un ko yadain bana kar hamaray aas paas rakhta hai. Yadain bas Yadain.